Sunday, August 25, 2013

Is Sarkar ko main dikhta nahi kya??

Aap sabhi Padne walo ko namaskar, aapko batana chahta hun main apne pe hue atyachar,
likh raha hun Vyang, kavita na samjhna,
mere sawalon ka mile jawaab, toh jarur sichit karna,
baar baar har baar ek sawaal joh mere mann main hai samaya,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Main thehra ek gareeb insaan, is bhayankar mehangai se trast aur pareshaan,
roz kamaane sadak par nikalta, lagata hun jee jaan,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Humare neta kare ghotale, koyla bech dale, kabhi chara Khale,
Humne kiya tha desh chalane ko inke hawale,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Aaj jis bhi sarkari daftar main jaaun, file ko clear karwane main main piss jaun,
majburaan inki jeebe bharne main, main kangaal ho raha hun,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Har jagah hai naam likhwaya, pure pariwaar ka panjikaran karwaya,
Voter ID se lekar PAN Card banwaya, arey doston ab toh Aadhar bhi aagaya, par mere jeene ka adhikaar nahi aaya,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Mat baat mujhe Hindu Musalman main,
na Majority ya Minority k jaal main, Ek aam aadmi hun, mujhe chod do apne haal pe,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Na main hun Gujarat se, na Dilli na Rajasthan se, na main marathi, na bangali, meri pehchaan hai Ek Bhartiya ki,
Ek Bhartiya ki ehsiyat se main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Main dango main jala hun, baad main baha hun,
meri sudh lene aaj tak na aaya koi, apna haqq maangne k liye dalaalo main kata hun,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Main achi Shiksha prapt, aaj ka berozgaar naujawaan hun,
khud kamaa kar pet paalna chahta hun, bus rozgaar ka awasar he dhund raha hun,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Main kamau, kapda khareedun, cinema dekhun, ya khana khau, sabse pehle main Tax chukau,
par phir bhi ye kamar tod mehangai aur khastahaal Sadak jhel raha hun,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Jab chahe aatanki bomb barsaaye, goli chalaye hume marvayein,
sarkar kare bhashan aur deti hai gheese pite Aashwasan,
unhi ko sun sun kar tadap raha hun,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Jab aate hain chunaav, aati hai tumhe meri yaad, kisi bhi kone main kyun na hun main,
dhund he lete ho mujhe, tumhe mera SIRF VOTE he nazar aata hain,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?
Meri ek pehchaan, mera ek naam hai, main bhi hun ek kaabil naagrik, desh k liye kuch karna ka vishwaas hai,
par netaon ne mere sapne diye tod, inhe dikhta hai sirf Note aur mera VOTE,
main puchta hun, Is Sarkar ko main dikhta nahi kya?

- Gunjan Dayal Mathur 
@hellogunj
Your comments are Valuable. :)